Xiaomi's Redmi 4A : Budget Killer?????
Friends,
Xiaomi ne India me luanch kiya hai apna budget smartphone "Redmi 4A" ke naam se. Dosto is article me main aapko isi ke bare me batanewala hu.
Xiaomi's Redmi 4A : ₹5999/-
Specifications :
- 5' HD 720p Display, 296ppi
- 13MP Rear Camera, f/2.2 Aperture.
- 5MP Front Facing Camera with Beautification
- Dual Sim support (hybrid), VoLTE.
- Snapdragon 425 Processor based on Octa Core 1.4 GHz
- Adreno 308 GPU
- 3120 mAh Battery, 7 Day standby.
Dosto yeh hai iske highlights point.
My Honest Opinion :
₹5999 ke budget range me yeh baki sabhi smartphones k hisab se sabse achhe specs ke sath anewala smartphone hai. Isme jo f/2.2 ka Aperture diya hai usse thoda mai nakhush hu. Kyon ki photography me macro photos me focus karne me dikkat ho sakti hai. f/2.0 ka Aperture dete to maja aa jata. Ab baat karte hai battery ki, to is price bracket me 3120mAh ki battery de rahe hai yeh bahot hi achhi baat hai.
Snapdragon 425 jo chipset hai vo bahot hi balanced CPU hai. Aur isme apko Marshmallow 6.0 milta hai jo may be 7.0 me upgrade ho sakta hai. Xiaomi ne apne N update pe kaam pura kar liya hai. To yeh bhi ek achhi baat hai.
Overall mai ise rate karu to yeh ek better smartphone hai apne price range me. Agar apka budget tight hai to aap ise le sakte hai lekin agar aap 1000 Rs aur invest karoge to apko Redmi 3S mil raha hai, jo isse bahot achha hai...
So friends yeh smartphone ki sale shuru hogi 23rd March se Mi.com & amazon.in par 12PM se.
Thank you.
RAHIMAN INAMDAR
Comments
Post a Comment